Hindi Short Stories
"Billi Aur
Bandar"
Cat And The Monkey
Ek Gaon mein doh billiyan rahti thee. Wah aapas mein bahaut pyar say rahatee thee. Oonhay jo kuch milta tha, usse aapus mein baantkar khaya karti thee.Ek din oonhay ek roti milli. Usse barabar - barabar baantay samay oonmay jhagada ho gaya. Ek billi ko apni roti ka tukda doosri billi ke roti kay tukday say chotta lagga. Parantu doosri biili ko apni roti ka tukda chotta nahi lagga.
Jab dono billiyan kissi samjhotay par nahi pahonch payi toh dono billiyan ek bandar kay paas gayi. Oonhonay bandar ko sari baat batayi aur ussay nayay karnay kay leeyay kaha. Sari baat sunkar bandar ek taraju le kar aaya aur dono tukaday ek-ek paldhay mein rakh deeyay. Tohltay samay jo paldha bhari hua, uss wali tarf say ussne thodi see roti todhkar apne muh mein daal lee. Ab doosri taraf ka paldha bhari ho gaya, toh bandar nay uss tarf say roti todhkar apne muh mein daal lee. Ess tarah bandar kabhi ess taraf say toh kabhi uss tarf say roti jayada hone ka kahkar roti todhkar apne muh mein daa layta.
Dono billiyan chupchap bandar kay phaysalay ka intezar karti rahin. Parantu jab dono billiyon nay dekha key dono tukday bahaut chottay-chottay raha gaye tu wah bandar say bolli - " Aap chinta na karay hum apne aap baantwara kar lengi."
Ess par bandar bola - " Jaisa aap theek samjho, parnatu mujhe bhi apni mehnat ki mazdoori milani chahiya." Itna kahkar bandar nay roti kay bachay huay dono tukday apne muh mein bhar leyay aur billiyon ko wahan say bhaga diya.
Dono billiyon ko apni galti ka bahaut dukh hua aur oonhay samajh mein aa gaya key - "Aapaas key foot bahaut boori hoti hai aur doosaray eska phayada ootha saktay hai."