Hindi Short Stories
"Maakhi Ka
Lalach"
The Greedy Flies
Ek
baar ek vyaapari apne grahak ko shahaid baich raha tha. Tabhi achank
vyaapari kay hath say phesalkar shahaid ka bartan gir gaya. Bahaut
sa
Shahaid bhoomi par beekhar gaya. Jitna shahaid oopar-oopar say
oothaya
ja sakta tha utna vyaapari nay oothah liya. Parantu kuch shahaid
phir bhi
zameen par gira rah gaya.
Kuch hee dair mein bahaut see maakhiyan uss zameen par giray huay
shahaid
par aakar baith gayi. Meetha-meetha shahaid oonhay bada aacha laga.
Wah
jaldi-jaldi usse chatne lagi. Jab tak unka pait bhar nahi gaya wah
shahaid chattee
rahin.
Jab maakhiyon ka pait bhar gaya aur oonhone udana chha, to wah udd
na sakey.
Kyonki unke pankh shahaid mein chipak gaey thay. Wah jitna
chatpatatti oonkay
pankh utne chipaktay jatay. Oonkay saray shreer mein shahaid lagta
jatta.
Kaffi maakiyan shahaid mein lottpott ho kar maar gayi. Bahaut see
maakhiyaan
pankh chipaknay say Chattpatati rahi. Parantu tab bhi nayi maakhiyan
shahaid
kay lalach mein wahan aatti rahin. Mari aur chatpatati hui maakyiyon
ko dekh kar
bhi wah shahaid khanne ka lalach nahi chodd payi.
Maakiyon ki doorgatti aur moorkhta dekh kar vyaapari bola - jo log
jeebh kay
swad nein padd jatte hai, wah un maakiyon kay samaan he moorakh
hotay hain.
Swad kay thoddi dair kay sukh uthane kay lalach mein wah apne swasth
ko nasht
kar daitay hain. Rogi bankar tadpte hain aur jald he mar jatte hain.