Aadi shakti ke laadle,
Raam bhakt seer moh,
Sankat
mochan aap se,
Vinti karun kar jod,
Rudra ves
sankar suvan,
Pawan putra balwaan,
Jai sankat
mochan prabhu,
Bajrangi hanuman,
Deen dukhari aa
giree,
Dar tere shir nath,
Dayaa dristi se chaman
ke,
Dijo kast mitaaaye,
Jai sankat mochan bhagwan,
Jai bajrangi jai hanuman...2
Jai bajrangi jai
hanuman,
Jai jai raam naam ke pyaare,
Jai anjani
sut ppawan dulaare,
Siddh kaaj sab karo humare,
Padun nath main charan tumhare,
Mand mati baalak
anjaan,
Jai sankat mochan bhagwan,
Chaaro vedon ne
yash gaaya,
Sankar ji damru khadkaaya,
Bhairo ji
ne naad bajaya,
Gandharwo ne raag sunaya,
Naarad
veena lage bajaane,
Jai sankat mochan bhagwan,
Raahu ketu nav grah bhaari,
Brihaspati mangal sani
balkaari,
Jispe hove kripa tumhari,
Rehta hai wo
sadaa sukhari,
Chamke tej suraj ke samaan,
Jai
sankat mochan bhagwan,
Meri ijjat haath tumhare,
Jaaun main ab kiske dwaare,
Kaato sankat aap humare,
Tum hi ho praano se pyaare,
Dayaa karo ee dayaa
nidhaan,
Jai sankat mochan bhagwan,
Duniya ke dukh
aane na dena,
Aan ko meri jaane na dena,
Kast se
mera mann na dole,
Kisi ke aage dukh na khole,
Sadaa rahe karta gungaan,
Jai sankat mochan bhagwan,
Koi bigadega kya mera,
Jab hai mujhe sahara tera,
Kyon fikaron ne mujhko ghera,
Paar karo ye beda mera,
Tum ho sabse shaktimaan,
Jai sankat mochan bhagwan,
Tere dar par aaun kaise,
Darshan tera paaun kaise,
Jai bajrangi jai hanuman...4
Khol ke haal
sunaun kaise,
Dukhiya dil samjhaun kaise,
Aap ho
sabke jaani jaan,
Jai sankat mochan bhagwan,
Paath
kare nit prem badhaaye,
Keertan maha mantra ka gaaye,
Jo bhakti sraddha se dhayae,
Uspe na koi sankat aaye,
Darshan devenge hanuman,
Jai sankat mochan bhagwan,
Sukal paksh ka mangal aavey,
Bajrangi ka barrt
karavey,
Sankat mochan ke gun gaave,
Bhog laga
parsaadi paave,
Kareinge bajrangi kalyaan,
Jai
sankat mochan bhagwan,
Sankat mochan mandir jaake,
Chaman prem se sis jhukake,
Vinav sunaye deep jalake,
Do pakhvaare niyam banake,
Muh maanga paave vardaan,
Jai sankat mochan bhagwan...3
Sraddha or viswaas mein,
Pooja ka aadhaar,
Kare yadi nar paat ki,
Ho jaaye
beda paar,
Shakti ko bajrang hai,
Bhakti ko
hanuman,
Kast mitaane ke liye,
Hai sankat mochan
jaap,
Sankat mochan kehte hi,
Sab sankat mit
jaaye,
Chaman abhaage dev hain,
Jo na sraddha
laaye,
Jai sankat mochan bhagwan,
Jai bajrangi jai
hanuman...3
Bajranng idhar bhi dhayan dharo,
Darshan de kar kalyaan karo,
Sarnaagat ki rakh laaj
prabhu,
Sab devan ke sartaaj prabhu,
Mere bhi
sawaaro kaaj prabhu,
Sankat mochan maharaaj prabhu,
Mere dukh ki pehchaan karo,
Bajrang idhar bhi dhayaan
dharo,
Jai bajrangi jai hanuman...4
Mujhko ik teri
aas rahe,
Dil har dum tere paas rahe,
Tere
charno ka daas rahe,
Aur thujpe atal viswaas rahe,
Itni hi dayaa dayaawaan karo,
Bajrang idhar bhi
dhayaan dharo,
Apni aukaat mein reh kar ke,
Santon
ki sangat beh kar ke,
Har kast ko seer par seh kar
ke,
Aur raam raam hi keh kar ke,
Jiwan mera
gujraan karo,
Bajrang idhar bhi dhayaan dharo,
Main nirbhey hokar gun gaaun,
Gun gaa kar ujjwal yash
paaun,
Na kast kisi ko pohonchaun,
Har dard ka
daaru ban jaaun,
Nirbal mann ko balwaan karo,
Bajrang idhar bhi dhayaan dharo,
Mann laga bhalaayi
mein hi rahe,
Tan sewaa karaayi mein hi rahe,
Tan
nek kamaayi mein hi rahe,
Aur jabaan sachchaayi mein
hi rahe,
Bas ye hi var vardaan karo,
Bajrang idhar
bhi dhayaan dharo,
Na jang mein janm karolun main,
Abhimaan ke vachan na bolun main,
Dukh kisi ke paas
na kholun main,
Mushkil mein bhi na dolun main,
Shakti de shaktimaan karo,
Bajrang idhar bhi dhayaan
dharo,
Na raag rahe na dwes rahe,
Na koi mujhe
kales rahe,
Tera hi dhayaan hamesh rahe,
Aur yaad
yahi updesh rahe,
Mann raam naam nitgaan karo,
Bajrang idhar bhi dhayaan dharo,
Sankat mochan sankat
se chuda,
Hanuman meri himmat ko badaa,
Bajrang
mera tan bajar banaa,
Aa pawan putra mann aas puja,
Raksha meri bhagwaan karo,
Bajrang idhar bhi dhayaan
dharo,
Hai sankat mochan naam tera,
Kyon sankat
nahin harte mera,
Mere bhi or karo pheraa,
Tere
dar par hai kiya deraa,
Na chaman ko ab paresaan
karo,
Bajrang idhar bhi dhayaan dharo,
Raam bhakt
tumko shrey,
Raam prabhu ki yaad,
Kast haro puri
karo,
Aasa meri hanuman,
Shakti ko bajrang hai,
Bhakti ko bhagwaan,
Sankat harne ke liye,
Sankat
mochan jaap,
Shakti bhakti mukti prabhu,
De kar
karo kalyaan,
Riddhi siddhi nav nidhi ka,
Chaman
ko do vardaan,
Jai bajrangi jai hanuman...8