Shree Sai Baba Chalisa - English Text

Shree Sai Baba Chalisa

  • Click Here for Sai Baba Chalisa in Hindi Text

  • Pehle Sai ke charno mein, apna sheesh nivauo maiy,
    Kaise Shirdi Sai aaye, saara haal sunau maiy. ||1||

    Kaun hai mata, pita kaun hai, yeh na kisi ne bhi jaana,
    Kaha janam Sai ne dhara, prashan paheli raha bana. ||2||

    Koee kahe Ayodhya ke, yeh Ramchandra bhagvan hain,
    Koee kehta Saibaba, pavan putra Hanuman hain. ||3||

    Koee kehta mangal murti, Shri Gajanan hain Sai,
    Koee kehta Gokul-Mohan Devki Nandan hain Sai. ||4||

    Shanker samajh bhakt kaee to, baba ko bhajhte rahte,
    Koee kahe avtar datt ka, pooja Sai ki karte. ||5||

    Kuch bhi mano unko tum, pur sai hain sachche bhagvan,
    Bade dayalu deen-bandhu, kitno ko diya jivan-daan. ||6||

    Kaee varsh pehle ki ghatna, tumhe sunaunga mein baat,
    Keesy bhagyashaali ki Shirdi mein aaee thi barat. ||7||

    Aaya saath usi ke tha, baalak aik bahut sunder,
    Aaya aaker vahin bus gaya, paavan Shirdi kiya nagar. ||8||

    Kaee dino tak raha bhatakta, bhiksha maangi usne dar dar,
    Aur dikhaee aisee leela, jug mein jo ho gaee amar. ||9||

    Jaise-jaise umar badi, badti hee vaisy gaee shaan,
    Ghar ghar hone laga nagar mein, Sai baba kaa gungaan. ||10||

    Digdigant mein laga goonjane, phir to Saiji ka naam,
    Deen-dhukhi ki raksha karna, yahi raha baba ka kaam. ||11||

    Baba ke charno mein ja kar, jo kehta mein hoo nirdhan,
    Daya usee par hoti unkee, khul jaate dhukh ke bandhan. ||12||

    Kabhi kisee ne maangi bhiksha, do baba mujhko suntaan,
    Aivom astoo tub kaihkar Sai de te thay usko vardaan. ||13||

    Swayam dhukhi baba ho jaate, deen-dukhijan ka lukh haal,
    Anteh: karan bhi Sai ka, sagar jaisa raha vishal. ||14||

    Bhakt ek madrasi aaya, ghar ka bahut bada dhanvaan,
    Maal khajana behadh uskaa, keval nahi rahi suntaan. ||15||

    Laga manane Sainath ko, baba mujh per daya karo,
    Junjha se junkrit naiya ko, tum hee mairee par karo. ||16||

    Kuldeepak ke bina andhera, chchaya hua ghar mein mere,
    Isee liye aaya hoon baba, hokar sharnagat tere. ||17||

    Kuldeepak ke abhav mein, vyarth hai daulat ki maya,
    Aaj bhikhari ban kar baba, sharan tumhari mein aaya, ||18||

    De de mujhko putra-daan, mein rini rahoonga jivan bhar,
    Aur kisi ki aas na mujko, siraf bharosa hai tum per. ||19||

    Anunaye-vinaye bahut ki usne, charano mein dhar ke sheesh,
    Tub prasana hokar baba ne, diya bhakta ko yeh aashish. ||20||

    ‘Allah bhala karega tera,' putra janam ho tere ghar,
    Kripa rahegi tum per uski, aur tere uss balak per. ||21||

    Ab tak nahi kisi ne paya, sai ki kripa ka paar,
    Putra ratan de madrasi ko, dhanya kiya uska sansaar. ||22||

    Tan-man se jo bhaje usi ka jug mein hota hai uddhar,
    Sanch ko aanch nahi haiy koee, sada jooth ki hoti haar. ||23||

    Mein hoon sada sahare uske, sada rahoonga uska daas,
    Sai jaisa prabhu mila haiy, itni ki kum haiy kya aas. ||24||

    Mera bhi din tha ik aisa, milti nahi mujhe thi roti,
    Tan per kapda duur raha tha, sheish rahi nanhi si langoti, ||25||

    Sarita sammukh hone per bhi mein pyasa ka pyasa tha,
    Durdin mera mere ooper, davagani barsata tha. ||26||

    Dharti ke atirikt jagat mein, mera kuch avalumbh na tha,
    Bana bhikhari maiy duniya mein, dar dar thokar khata tha. ||27||

    Aise mein ik mitra mila jo, param bhakt Sai ka tha,
    Janjalon se mukt, magar iss, jagti mein veh bhi mujh sa tha. ||28||

    Baba ke darshan ke khatir, mil dono ne kiya vichaar,
    Sai jaise daya murti ke darshan ko ho gaiye taiyar. ||29||

    Paavan Shirdi nagari mein ja kar, dhekhi matvaali murti,
    Dhanya janam ho gaya ki humne jab dhekhi Sai ki surti. ||30||

    Jabse kiye hai darshan humne, dukh sara kaphur ho gaya,
    Sankat saare mite aur vipdaon ka ant ho gaya. ||31||

    Maan aur sammaan mila, bhiksha mein humko baba se,
    Prati bambit ho uthe jagat mein, hum Sai ki abha se. ||32||

    Baba ne sammaan diya haiy, maan diya is jivan mein,
    Iska hee sambal le mein, hasta jaunga jivan mein. ||33||

    Sai ki leela ka mere, mun par aisa assar hua,
    Lagta, jagti ke kan-kan mein, jaise ho veh bhara hua. ||34||

    'Kashiram' baba ka bhakt, iss Shirdi mein rehta tha,
    Maiy Sai ka Sai mera, veh duniya se kehta tha. ||35||

    Seekar svayam vastra bechta, gram nagar bazaro mein,
    Jhankrit uski hridh-tantri thi, Sai ki jhankaron se. ||36||

    Stabdh nisha thi, thay soye, rajni aanchal me chand sitare,
    Nahi soojhta raha hath ka, hath timiri ke mare. ||37||

    Vastra bech kar lote raha tha, hai! Haath se 'kaashi',
    Vichitr bada sanyoga ki uss din aata tha veh akaki. ||38||

    Gher raah mein khare ho gaye, usse kutil, anyaayi,
    Maaro kaato looto iski, hee dhvani pari sunaee. ||39||

    Loot peet kar usse vahan se, kutil gaye champat ho,
    Aaghaton se marmahat ho, usne di thi sangya kho. ||40||

    Bahut der tak para raha veh, vahin usi halat mein,
    Jaane kab kuch hosh ho utha, usko kisi palak mein. ||41||

    Anjane hee uske muh se, nikal para tha Sai,
    Jiski prati dhvani Shirdi mein, baba ko parri sunai. ||42||

    Shubdh utha ho manas unka, baba gaye vikal ho,
    Lagta jaise ghatna sari, ghati unhi ke sunmukh ho. ||43||

    Unmadi se idhar udhar tab, baba lage bhatakne,
    Sunmukh chizein jo bhi aiee, unkoo lage patkne. ||44||

    Aur dhadhakte angaro mein, baba ne kar dala,
    Huye sashankit sabhi vaha, lakh tandav nritya nirala. ||45||

    Samajh gaye sab log ki koi, bhakt para sankat mein,
    Shubit khare thai sabhi vaha par, pare huye vismaiye mein. ||46||

    Usse bachane ke hi khatir, baba aaj vikal hai,
    Uski hi piraa se pirit, unka ant sthal hai. ||47||

    Itne me hi vidhi ne apni, vichitrata dhikhlayi,
    Lukh kar jisko janta ko, shradha sarita lehrayee. ||48||

    Lekar sanghya heen bhakt ko, gaari ek vaha aayee,
    Sunmukh apne dekh bhakt ko, Sai ki aankhe bhar aayee. ||49||

    Shant, dheer, gambhir sindhu sa, baba ka anthsthal,
    Aaj na jane kyon reh-rehkar, ho jaata tha chanchal. ||50||

    Aaj daya ki murti svayum tha bana hua upchaari,
    Aur bhakt ke liye aaj tha, dev bana prati haari. ||51||

    Aaj bhakti ki vishum pariksha mein, safal hua tha Kaashi,
    Uske hee darshan ki khatir, thai umre nagar-nivasi. ||52||

    Jab bhi aur jahan bhi koyee, bhakt pare sankat mein,
    Uski raksha karne baba jate hai pulbhur mein. ||53||

    Yug yug ka hai satya yeh, nahi koi nayee kahani,
    Aapat grast bhakt jab hota, jate khudh antar yami. ||54||

    Bhedh bhaav se pare pujari manavta ke thai sai,
    Jitne pyare Hindu-Muslim uutne hi Sikh Isai. ||55||