Hindi Short Stories
"Sher Aur Chuha"
The Lion and the Mouse
Click here for the English version of this story
Ek baar ek Sher apni gufa mein so raha tha. Tabhi ek chuha kahin se aakar uske uppar koodne laga. Jisse usski neend toot gayi. Sher ko chuhe par itni jor se gussa aaya ki ussne chuhe ko apne panjay mein jakad liya aur usse marne ka soochne laga. Chuha bahaut darr gaya. Ussne kaapte huaye sher se kaha -" hey Sher raja ! agar aap mujhe janne denge to aap ka bahaut upkaar hoga aur aapke es upkaar ko mein waqt anne par jaroor chuka doonga." Yeh sunkar sher ko chuhe par daya aagayi aur ussne usse jane diya. Par weh mann he mann hansa ki bhala yeh chotta sa chuha mera upkaar kya chukayega.
Samay bitatta gaya aur ek din hamesha ki tarah sher shikar ki talash mein jungle mein ghoom raha tha ki ek shikari ne usse chalaki se apne jaal mein pakad liya. Sher apni sahyata ke liye jor-jor se dahaad marne laga. Sher ki awaz sunkar chuha wahan aaya. Sher ko jaal mein phansa dekhkar ussne turant apne nukele danto se jaal kaat diya aur sher ko azad kar diya. Sher ne chuhe ka bahaut dhanyawad kiya. uss din sher ko samajh aaya ki kissi bhi prani ki kabliyaat usske bahari roop se nahi karni chaiye aur kabhi chotte- bade ka bhaidbhav nahi karna chaiye. Hamesha sabki madat kani chaiye kyunki jo doosaron ki madat karta hai, usski bhi sab madat karte hain.