![]()
Lord Vishwakarma is believed to be the architect and the master of all machinery equipments of gods. Son of Brahma, he is the divine draftsman of the whole universe, and the official builder of all the gods' palaces.
To Print Picture -- Right Click -- Print Picture...

Lord Vishwakarma Aarti - English text
	Jai shri vishwakarma prabhu, jai shri vishwakarma 
Sakal srishti ke karta, rakshak stuti dharma.
Aadi srishti me vidhi ko shruti updesh diya 
Jeev matra ka jag me, gyan vikas kiya. 
Rishi angira tap se, shanti nahin pai 
Rog grast raja ne jab aashraya leena 
Sankat mochan bankar door duhkha keena 
Jai shri vishwakarma...
Jab rathkaar dampati, tumhari ter kari 
Sunkar deen prarthna, vipat hari sagari 
Ekanan chaturanan, panchanan raje 
Tribhuj chaturbhuj dashbhuj, sakal roop saje 
Dhyan dhare tab pad ka, sakal siddhi aave 
Mann dvividha mit jave, atal shakti pave 
Shri vishwakarma ki aarti jo koi gave
Bhajat gajanand swami, sukh sampati pave 
Jai shri vishwakarma.

					
    
 
 