Vrat ki vidhi-vidhan
Santoshi mata ke pita Ganesh, mata Ridhhi Sidhhi dhan-dhaanya, sona, chandi, moti, moongon ratnon se bhara parivar;Ganpati pita ki dulaar bhari, Ganpatidev ki kamaayi, dhandhey barkat, daridrata door, kalah-kalesh ka naash, sukh-shanti prakash, balakon ki phulwari,dhandhey mein munafey ki bhari kamaayi, man ki kaamna puran,shok, vipatti, chinta sabh choorn, Santoshi mata ka key naam, jissey ban jaaye saarey kaam, bolo jai Santoshi Mata ki.
s vrat ko karney wala katha kahtey sunntey samay haath mein gur aur bhuney huey channey rakhey. sunneywale "Santoshi Mata ki jai", "Santoshi Mata ki jai", is prakaarjai-jaikaar mukh sey boltey jayein. Katha samaapt honey par haath ka gur channa gau-mata ko khilavein. Kalash mein rakha hua gur channa sabhko prasad ke roop mein baant dein.
Katha ke poorva kalash ko jal se bharein, uske ooper gur channey se bhari katori rakhein. Katha evam aarti samaapt honey ke baad kalash ke jal ko ghar mein sabhi jagah chhirkein aur bacha hua jal tulsi ki kyari mein daal dein. Sava aanein ka gur-channa lekar mata ka vrat karein. Savaa paise ko lein to bhi koi aapati nahin. Gur agar ghar mein ho to usey levein, vichar na karein kyonki mata bhavna ki bhookhi hai, kam zyada ka koi vichar nahin. Isliye jitna ban parey prasad arpan kar shraddha aur prem se prassan man ho vrat karna chahiye.Vrat ke udyapan mein dhai ser khaja, momandar poori, kheer, channey ka shaag, naivedya rakhein, ghee ka deepak jalaakar Santoshi mata ki jai-jaikar bolein, nariyal phorein. Is din ghar mein khataayi na dalein, aur na aap khavein aur na kissi doosrey ko khaney dein. Is din aath larkon ka bhojan karavein. Devar, jeth, ghar kutumb ka milta ho to doosrey ko bulana nahin. Agar kutumb mein na miley to brahmanon ke, rishteydaaron ke yaa padosion ke larkon ko bulavein. Unhein khatayi ki koi vastu na devein tatha bhojan kara yatha shakti dakshina devein. Nakad paisa na dein koi vastu dakshina mein dein. Vrat karney wala katha sunkar prasad lein, ek samay bhojan karein. Is prakar se Mata atyant prasanna hogi, dukh daridra door hokar manokamna poori hogi.