Bhed bhaav mandir masjid ka tor phor baba ne dala,
Ram rahim sabhi unke thai, Krishan Karim Allah Tala. ||56||
Ghante ki pratidhvani se gunja, masjid ka kona kona,
Mile paraspar Hindu Muslim, pyar bada din din doona. ||57||
Chamatkar tha kitna sundar, parichaye iss kaya ne dee,
Aur neem karvahat mein bhi mithaas baba ne bhar dee. ||58||
Sabko sneha diya Sai ne, sabko suntul pyar kiya,
Jo kuch jisne bhi chaha, baba ne usko vahi diya. ||59||
Aise snehsheel bhajan ka, naam sada jo japa kare,
Parvat jaisa dhukh na kyoon ho, palbhar mein veh door tare. ||60||
Sai jaisa daata humne, aare nahi dekha koi,
Jiske keval darshan se hee, saari vipda door gayee. ||61||
Tan mein Sai, man mein Sai, Sai bhajha karo,
Apne tan ki sudh budh khokur, sudh uski tum kiya karo. ||62||
Jab tu apni sudh tajkur, baba ki sudh kiya karega,
Aur raat din baba, baba, baba hi tu rata karega. ||63||
To baba ko aare! vivash ho, sudh teri leni hee hogi,
Teri har icha baba ko, puree hee karni hogi. ||64||
Jungal jungal bhatak na pagal, aur dhundne baba ko,
Ek jagah keval Shirdi mein, tu paiga baba ko. ||65||
Dhanya jagat mein prani hai veh, jisne baba ko paya,
Dukh mein sukh mein prahar aath ho, sai ka hee gune gaya. ||66||
Gire sankat ke parvat, chahe bijli hi toot pare,
Sai ka le naam sada tum, sunmukh sub ke raho arre. ||67||
Iss budhe ki sunn karamat, tum ho jaoge hairaan,
Dang reh sunkar jisko, jane kitne chatur sujaan. ||68||
Ek baar Shirdi mein sadhu dhongi tha koi aaya,
Bholi bhali nagar nivasi janta ko tha bharmaya. ||69||
Jari, butiyan unhe dhikha kar, karne laga vaha bhashan,
Kehne laga sunno shrotagan, ghar mera hai vrindavan. ||70||
Aushadhi mere paas ek hai, aur ajab iss mein shakti,
Iske sevan karne se hi, ho jaati dukh se mukti. ||71||
Aggar mukta hona chaho tum, sankat se bimari se,
To hai mera numra nivaidan, har nar se har nari se, ||72||
Lo kharid tum isko, sevan vidhiyan hai nyari,
Yadyapi tuch vastu hai yeh, gun uske hai atisheh bhari. ||73||
Jo hai suntaan heen yeh yadi, meri aushdhi ko khaye,
Putra ratan ho parapat, aare aur veh mooh manga phal paye. ||74||
Aushadh meri jo na kharide, jeevan bhar pachtayega,
Mujh jaisa prani shayad hi, aare yaha aa payega. ||75||
Duniya do din ka mela hai, mauj shaunk tum bhi kar lo,
Gar is se milta hai, sub kuch, tum bhi isko le lo. ||76||
Hairani barti janta ki, lakh iski kaarastaani,
Pramudit veh bhi man hi man tha, lakh logo ki nadani. ||77||
Khabar suna ne baba ko yeh, gaya daud kar sevak ek,
Sun kar bhukuti tani aur, vismaran ho gaya sabhi vivek. ||78||
Hukum diya sevak ko, satvar pakar dusht ko lao,
Ya Shirdi ki seema se, kapti ko duur bhagao. ||79||
Mere rehte bholi bhali, shirdi ki janta ko,
Kaun neech aisa jo, sahas karta hai chalne ko. ||80||
Pulbhur mai hi aise dhongi, kapti neech lootere ko,
Maha naash ke maha gart mein, phahuncha doon jivan bhar ko. ||81||
Tanik mila aabhaas madari, krur kutil anyayi ko,
Kaal nachta hai ab sir par, gussa aaya Sai ko. ||82||
Pal bhar mein sab khel bandh kar, bhaga sir par rakh kar pairr,
Socha tha sabh hi ab, bhagvan nahi hai ab khair. ||83||
Such hai Sai jaisa daani, mil na sakega jag mein,
Ansh iish ka Sai baba, unhe na kuch bhi mushkil jag mein. ||84||
Sneh, sheel, sojanya, aadi ka abhushan dharan kar,
Badta iss duniya mein jo bhi, manav sevaye path par. ||85||
Vahi jeet leta hai jagti, ke jan jan ka anthsthal,
Uski ek udasi hi jag ko kar deti hai vrihal. ||86||
Jab jab jug mein bhar paap ka bar bar ho jaata hai,
Usse mita ne ke hi khatir, avtari ho aata hai. ||87||
Paap aur anyaya sabhi kuch, iss jagti ka har ke,
Duur bhaga deta duniya ke danav ko shan bhar mein. ||88||
Sneh sudha ki dhar barasne, lagti hai duniya mein,
Gale paraspar milne lagte, jan jan hai aapas mein. ||89||
Aisse hee avtari Sai, mrityulok mein aakar,
Samta ka yeh paath paraya, sabko apna aap mitakar. ||90||
Naam dwarka masjid ka , rakha Shirdi ne,
Haap taap, suntaap mitaya, jo kuch aaya Sai ne. ||91||
Sada yaad mein mast ram ki, baithe rehte thai Sai,
Peher aath hee naam ram ka, bhajte rehte thai Sai. ||92||
Sookhee rookhee tazi baasi, chahe ya hovai pakvaan,
Sada pyar ke bhooke Sai ke, khatir thai sabhi samaan. ||93||
Sneh aur shradha se apni, jan jo kuch de jaate thay,
Bade chaav se uss bhojan ko, baba paavan karte thay. ||94||
Kabhi kabhi man behlane ko, baba baag mein jate thay,
Pramudit man nirukh prakrati, chatta ko veh hote thay. ||95||
Rang-birange pushp baag ke manam manam hil dul karke,
Beehar birane man mein bhi sneh salil bhar jate thai. ||96||
Aise su-madhur bela mein bhi, dukh aafat bipda kai maare,
Apne man ki vyatha sunane, jan rehte baba ko ghere. ||97||
Sunkar jinki karun katha ko, nayan kamal bhar aate thay,
De vibhuti har vyatha, shanti, unke uur mein bhar dete thay. ||98||
Jaane kya adhbut, shakti, uuss vibhuti mein hoti thi,
Jo dharan karke mastak par, dukh saara har leti thi. ||99||
Dhanya manuj veh sakshaat darshan, jo baba Sai ke paye,
Dhanya kamal kar unke jinse, charan kamal veh parsai. ||100||
Kaash nirbhaiy tumko bhi, saakshat Sai mil jaata,
Varshon se ujra chaman apna, phir se aaj khil-jata. ||101||
Gar pakar mein charan shri ke, nahi chorta umar bhar,
Mana leta mein jaroor unko gar rooth te Sai mujh par!! ||102||