DOHA:
Bando Santoshi Charan, Riddhi Siddhi Datar |
Dhyan Dharat He Hott Nar, Dukh Sagar Se Paar ||
Bhaktan Ko Santosh De, Santoshi tav Nama |
agdamba Aab, Aaya Tere Dham ||
Jai santoshi maat anupam |
Shanti daayani roop manoram ||
Sundar varan chaturbhuj rupa |
Vaish manohar lalit anupa ||
Shwetambar roop manhaari |
Maa! tumhari chavi jag se nayari ||
Divy swarup aayat lochan |
Darshan se ho sankat mochan ||
Jai ganesh ki suta bhavani |
Ridhi sidhi ki putri gyani ||
Aagam aagochar tumhari maya |
Sab par karo kripa ki chaya ||
Naam aanek tumharo mata |
Aakhil vishv hai tumko dhayata ||
Tumne roop aaneko dhare |
Ko kahi sake charitra tumhare ||
Dham aanek kahan tak kahiye |
Sumiran tab karke sukh lehiye ||
Vindiyachal mai vindiyavasini |
Koteshwar saraswati suhasini ||
Kalkate mai tu hi kali |
Dusht nashini mahakarali ||
Samhal pur bahuchara kahati |
Bhaktjano ka dukh mitati ||
Jwala ji mai jwala devi |
Pujat nitay bhakt jan savi ||
Nagar bambai ki maharani |
Maha Lakshmi tum kalyani ||
Madura mai meenakshi tum ho |
Sukh-dukh sabki sakshi tum ho ||
Rajnagar mai tum jagdambay |
Banee bhradkali tum ambe ||
Pavagadh mai durga mata | Akhil Vishav tera yash
gatta ||
Kashi puradhishwari mata || Aaanpurna naam suhata ||
Sarwanand karo kaliyani || Tumhi sharda amrit
vani ||
Tumhari mahima jal mai thal mai || Dukh darid
sab meto pal mai ||
Jete risiwar aur munisha || Narad dev aur devesha ||
Es jagati ke nar aur nari || Dhayan dharat hai maat tumhari ||
Japar kripa tumhari hoti || Veh patta bhakti ka moti || Dukh darid sankat mit jata || Dhayan tumhara jo jan
dhayata ||
Jo jan tumhari mahima gave || Dhayan tumhara kar such
pave ||
Jo maan rakhe sudh bhavana || Taki puran karo
kamna ||
Kumti nivari sumati ki datri || Jayati Jayati Mata
Jagdhatri ||
Sukarwar ka diwas suhavan |
Jo vart kare tumhara paven ||
Guud chole ka bhog lagave |
Katha tumhari sune sunnave ||
Vidhivat puja kare tumhari | Phir Prasad pave subhkari ||
Shakti samrath ho jo dhan ko |
Dan dakshina de vipran ko ||
Ve jagti ke nar aur nari |
Maanvanchit phal pave bhari ||
Jo jan sharan tumhari jave |
So nishchaye bhav se tar jave ||
Tumharo dyan kumari dhayave |
Nishchaye maanvanchit var pave ||
Sadhva pooja kare tuhari |
Amar suhagin ho wo nari ||
Vidhva dhar ke dhyan tumhara |
Bhavsagar se utre para ||
Jayati jayati jai sankat harni |
Vidhan vinashan mangal karni ||
Hum par sankat hai aati bhari |
Vegi khabar lo maat hamari ||
Nishidin dhayan tumharo dhayta |
Dehi bhakti var hum ko mata ||
Yeh chalisa jo nit gave |
So bhavsagar se tar jave ||