Lord Mahavira, a great spiritual hero, is considered by Jain's to be the last Tithankaras. His life is celebrated in legends and festivals and is considered as a model for all Jain's. Mahavir swami is the spirit of Jainism. According to Jain philosophy, all Tirthankaras were born as human beings but they have attained a state of perfection or enlightenment through meditation and self realization. Shree Mahavir Chalisa, is a beautiful forty-verse prayer,full of praise and plead with devotion of Mahavir Prabhu.
Click for Mahavir Chalisa in Hindi text
DOHA :
Sheesh nawa arihant ko, sidhan karu pranam.
Upadhyay acharya ka, le sukhkari naam.
sarva sadhu
aur saraswati, jin mandir sukhkar.
Mahavir bhagwan
ko, man mandir kay dhar.
CHOPAAI :
Jai Mahavir Dayalu Swami, Veer prabhu tum jag mein
nami.
Vardhman hai naam tumhara, lage hirday ko
pyara pyara.
Shanti chavi or mohini murat, shan
hansili sohini surat.
Tumne vesh digambar dhara,
karm-shatru bhi tum say hara.
Krodha maan aru
lobh bhagaya, maha-moh tumse dar khaya.
Tu
sarvgya sarva ka gyata, tujhko duniya se kya naata.
Tujhpe nahi raag or dvesh, veer ran raag tu
hitopdesh.
Tera naam jagat me sachaa, jisko jane
bachaa bachaa,
Bhoot prait tumse bhay khave,
vyantar rakshas sab bhag jave.
Maha vyadh mari na satave,
maha vikral kaal dar khave.
Kala naag hoy
fun-dhari,ya ho sher bhayanker bhari.
Na ho koi
bachane wala, swami tumhi karo pratipala.
Agni
dawanal sulag rahi ho, tej hawa se sulag rahi ho.
Naam tumhara sab dukh khovay, aag ek dum thandi
hovay.
Hinsamay tha bharat sara, tab tum ne kina
nistara.
Janam liya kundalpur nagri,hui sukhi tab praja
sagri,
Siddharth ji pita tumhare, trishla kay
aankho kay taare.
Chod sabi jhanjhat sansari,
swami hue bal- brahmachari.
Pancham kaal
maha-dukhdai, chandanpur mahima dikhlai.
Teelay
me atishay dikhlaya, ek gaay ka dudh giraya.
Soch
huwa man me gwale kay, pahuncha ek fawda leke.
Sara teela khod bagaya, tab tumne darshan dikhlaya.
Jodharaj ko dukh nay ghera, usne naam japa jab tera.
Thanda hua top ka gola, tab sabne jaikara bola.
Mantri ne mandir banwaya,raja ne bhi dravya lagwaya.
Badi dharmshala banwai, tumko laane ko thahrai.
Tumne todi biso gadi, pahiya khaska nahi agadi.
Gwale ne jo hath lagaya, fir to rath chalta he paya.
Pahile din baishaak vadi kay, rath jata teer nadi
kay.
Mina gujar sab he aate, naach kood sab chit
umgate.
Swami tumne prem nibhaya, gwale ka bahu
maan badaya.
Hath lage gwale ka jab he, swami
rath chalta hai tab he.
Meri hai tutti si nayyaa,
tum bin koi nahi khivaiya.
Mujh par swami jara
kripa kar, mein hoon prabhu chakar tumhara.
Tumse
mein aru kuch nahi chahun, janam janam tere darshan
paaun.
chalisa ko chadra banave, beer prabhu ko
sheesh navave.
SORTHA
Nit Chalishi Baar, Path Kare Chaalis Din.
Khey
Sugandh Apaar, Vardhman Kay Sammne.
Hoay Kuber
Samaan, Janam Daridri Hoay Jo.
Jiske Nahi Santan,
Naam Vansh Jag Mein Chale.